बादल और बारिश का ये इश्क़
बदरंग तो है बदनाम नही
लगने को कई इल्ज़ाम लगे
धरती की निखरती रंगत को
कुछ और निखर जाने देता
मिटटी को महक जाने देता
बूँदों को बिखर जाने देता -
ये ख़ास तक़ल्लुफ़ बादल का
बारिश की नज़र में आम सही
बादल और बारिश का ये इश्क़
बदरंग तो है बदनाम नही
लगने को कई इल्ज़ाम लगे
निकला ना कोई इल्ज़ाम सही
~ फ़ुर्सतनामा
Saagar se chun-chun kar motii
~ फ़ुर्सतनामा
©Fursatnama
*******************************************************************************Baadal aur Baarish ka ye Ishq
Baadal aur baarish ka ye ishq
Badrang to hai badnaam nahii
Lagne ko kayii ilzaam lage
Niklaa na koi ilzaam sahii
Saagar se chun-chun kar motii
baarish kii KhushiyaaN buntaa hai
Parvat ki nigaaheiN kuchh bhi kaheiN
Baadal bhi bhala kab suntaa hai
Jo hashra hua hai majnuu ka
Uskaa bhi wahii anjaam sahii
Dhartii kii nikhartii rangat ko
Kuchh aur nikhar jaane detaa
MiTTii ko mahak jaane detaa
BoondoN ko bikhar jaane detaa-
Ye Khaas taqalluf baadal ka
Baarish ki nazar meiN aam sahii
Baadal aur baarish ka ye ishq
Badrang to hai badnaam nahii
Lagne ko kayii ilzaam lage
Niklaa na koi ilzaam sahii
~ Fursatnaama
MiTTii ko mahak jaane detaa
BoondoN ko bikhar jaane detaa-
Ye Khaas taqalluf baadal ka
Baarish ki nazar meiN aam sahii
Baadal aur baarish ka ye ishq
Badrang to hai badnaam nahii
Lagne ko kayii ilzaam lage
Niklaa na koi ilzaam sahii
~ Fursatnaama
©Fursatnama
No comments:
Post a Comment